Wo Undekha Pyar- Maa Meri Maa Poem by Varsha M

Wo Undekha Pyar- Maa Meri Maa

Rating: 5.0


Muskurahate to bahut dekhi maine
Par maa aaj be theri chavi aankhon me hai
Jaise kah rahi ho mujhse beta
Mai khush ho yaha
Par chinta lagi rahti hai tumhari
Kaun tera khayal rakhte hoga
Aur meri kami tumko kahi
Aandar he andar khokhla to nahi kar rahi
Aur mai keh jata
Ma teri badi yaad aati hai
Wo tera sehlana
Wo mujhe gale lagana
Aur haan wo tera
Mere mathe ko hamesha choomna
Aur kehna mera raja beta
Wo sab lamhe yaad aate hai
But saath me wo you teri muskaan
Ke aakhri jhalak be nazar aati hai
Jo mujhe tumse door kheech kar legaye.
Chota sa tha mai, but phir bhi mujhe chood gaye
Hai wo din jab aasoo bhi rooth gaye the mujhse
Par aab to nadiya bah jati hai bas tere naam he se.
Mai to sooch bhi nahi sakta tha
Kabhi tumse door rehne ka aai maa!
Par zindagi ko gawara na tha saath hamara
Tood diya hamare pyara bandhan
Kar diya mujhe aakela ekdum
Aai maa! Har pal yaad aati ho tum.
Taras jata hoon teri aawaz sunne ko
Thak jata hoon akele aapne aap see bate kar
Aai maa! Teri yaad aaj bhi aati hai bahut
Aur baar baar mere dil ke darwaze pe
Dastak deke kahti hai beta na ho besabr
Beshak aakhon ke samne nahi ho tere
Par saath to mai hoon har pal tere.
Jab tujhko choot lagti hai
To hai mere dil se aaj bhi nikalti hai.
Mat samaj to apne aap ko akela
Lad jaoonge duniya se aaj bhi
Jo aank uthakar tumhe dekhe
Mooch loongi moo unka
Jo tumko aaj bhi tang kare.
Maa ho mai teri saath kabhi na choodonge.
Mat ro mere liye
Yaad rakho tumme hoon mai jindi hamesha
Ladla beta jo tu hai mera
Issliye to muskurate hue wida le maine jindagi se
Ke saath there rahoon hamesa
Teri muskurahat ke jariye.
Bhoolna na isliye hasna kabhi
Yaad rakha teri muskurahat ke peeche
Mai bhi muskura rahi hoon halke halke.
Kabhi to akela tha he nahi beta
Mai aur meri muskurahat tum me jinda hai hamesha
Na roona aab kabhi tu
Zamane janta nahi
Maa ko khoona hota hai kya
Maa ke bina rehna kya hota hai.
Par yaad rakhna tum na banna inki tarah
Meri muskurahat hamesha bankar
Chamakana iss duniya me nirantar
Jabtak ham aur tum phirse mile baadloon par
Ek naya daur shuru karne ko ekdum.

Wo Undekha Pyar- Maa Meri Maa
Wednesday, September 9, 2020
Topic(s) of this poem: alone,death,mother,pain,respect
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
This poem is dedicated to PPME poem mom's smile. In happiness every one gives company but when someone shares sorrow please uphold them always that's what is true friendship. Pain is excruciating but your good words help them to come out of those bad times. Even enemies in funerals praise after death so please respect everyone's emotions. They too are humans.
Photo courtesy iFunny on Pinterest.
COMMENTS OF THE POEM
Me Poet Yeps Poet 10 September 2020

they r not posting comments mine or the ones I receive whyyyyyyyyyyyyyyy PHHHHHHHHHHHHH

0 0 Reply
Sharad Bhatia 10 September 2020

क्या व्यक्त करुँ " माँ" के बारे में कि दूर ऊपर से देख रही थी, हाल चाल मेरा पूछ रही थी।। एक बेहतरीन रचना एक बेहतरीन कवयित्री के द्वारा 1000++

0 0 Reply
Rajnish Manga 09 September 2020

सच कहूँ तो उक्त रचना पढ़ते हुये मैं भावुक हो गया था. अपने बच्चे को परेशानी में देख कर उसकी स्वर्गवासी माँ के उदगार में इतनी आत्मीयता व ममता झलकती है उनकी प्रशंसा के लिए मेरे पास शब्द नहीं हैं. कविता में बातचीत की भाषा मन को छू जाती है. A tribute to all mothers of the world. It is good that 'This poem is dedicated to PPME poem mom's smile'. My sincere thanks for sharing the poem. Aur haan wo tera Mere mathe ko hamesha choomna Aur kehna mera raja beta

0 0 Reply
o poet me poet yeps poet 09 September 2020

NAMASTE BEHEN MERE MAA SAB KE JAAN ATI SUNDAR THANKS

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success