Shaam Ki Sair (A Late Walk) , Robert Frost's Poem In Hindi/Urdu Translation Poem by Ravi Kopra

Shaam Ki Sair (A Late Walk) , Robert Frost's Poem In Hindi/Urdu Translation

jab main nayey ghaas katay maidan main chalta hoon
bina gardun ka ek sanskaar dekhta hoon
shabnam se bhara ghaas ek jhonpDi ki cHat ki tarah
bageechay ka raasta bundh kiyay huay dekhta hoon

aur jab bageechay main aata hoon
sookhi bikhri tehionioN par baithay
sochdaar parindoN ki ghamgeen
dhun ko sunta hoon

bahut door nahin chalta
neelay aster ka akhri ek feeka sa phool
tehni si toD kar
tere liyay le aata hoon.

This is a translation of the poem A Late Walk by Robert Frost
Saturday, September 8, 2018
Topic(s) of this poem: sadness
COMMENTS OF THE POEM
Close
Error Success