Ye Raastein Poem by shivam bhatt

Ye Raastein

Ye raastein …………..,
Meri zindagi k
Yun karwat lete hain
dukh aur sukh
iss tarah jud rahkein hain
jo bandhe hue hain sabhi k liye ….

ye raastein……………,

jinmein Khushi meele ya gum,
jo kuch hoga baant lenge,

Ye Jism door hojaye magar
magar meri rooh nahi
chun lo unn raaston ko
janha par bhatak na jayee hum
yun andheron mein na goom hojaye hum………..

ye raastein…………….,
alag hii kyu naa hoo
lekin kinaara ek hi rahee
yun zindagi ka saath humesha nibhatein rahein
bas chalta hi jaun chalta hi jaun
na thamein mere ye kadam
yun silsilaa barkarar rahe
ye tamana hai mere humdam
inn raaston par na tham jaye mere kadam…………


ye raastein
hi meri zindagi ki seedhiyan hain
jo jode huee hain muje meri yaadon se
meri behan k pyaar se
mere bauji k dulaar se
meri maa ki mamata se
bas meri manzilein tai karti hain.
Ye raastein….
Ye raastein………….

Sunday, January 8, 2017
Topic(s) of this poem: imagination
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success