Shakhs-E-Insaan. Poem by Takbeer Salati

Shakhs-E-Insaan.

Rating: 5.0

Dil thehar gaya, un aankho ko dekh kar
Nazam -o-mausiqi jaisa aalam hogaya
yun toh umeed rakhna aashiqun ki tareef hai
magar dunya mai pagal bhi toh rehtay hai
taaro se chamakti huwi roshni, yun dekhi
chand sharam mai jhukh kar sajda karnay laga
tum ne toh yun zaalimo ki tarah nujhe sanjeeda qaraar kiya
mana ki mai ek raagh ki tarah behti gayi,
lekin waqt ne toh aawaz tak nahi di
ronay walla dil to ek insaan ka hi hota hai,
varna zaalimo se kya tavaja ki jaye
imtihan pe imtihan leta gaya wo shakhas
aasman bhi hasnay laga tareef mei
yun toh aashiqun ka kaam hai mazaak karna
tum bhi has lete majlis mei,
dil tuta toh kya huwa,
maut bhi toh aati hai insaan jaise alfazon mei.

Monday, May 21, 2018
Topic(s) of this poem: god,metaphysical,poetry,urdu
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
An individual as a unit has always craved for his lost absent union with God, I am trying to find it in words.
COMMENTS OF THE POEM
Takbeer Salati 02 June 2018

Shukriya. Aagay khayal hoga :

0 0 Reply
Rajnish Manga 21 May 2018

Apki is khubsurat nazm ke liye shukriya. Lekin kuchh jagah dhyan dene ki zarurat hai. Title 'Shakhs-E-Insaan' theek nahin lagta. Ise durust kar lena chahiye. (misaal ke liye diwan-e-ghalib yaani ghalib ka diwan) . Mujhse galti huyi ho to main muafi ka talabgar hun. (tavaja = tawaqqo / alfazon = alfaz. ek lafz hai aur ek se jyada alfaz hai)

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Takbeer Salati

Takbeer Salati

Srinagar, Kashmir
Close
Error Success