Saya Poem by Azeem Islam

Saya

Rating: 5.0

Rāt andhere mē
Sāyah mere sāth chal raha tha
Kadam andherē mē sargos̱hiyāṉ karte
chāndi ke sāth chal rahe the
Ānkhēṉ chamak rahi theeṉ wehshat se
Ābnos ke tārōṉ ki tarah
Andherē ki chādar mē
Koi jāsusī ke liye nikla tha
Ek ajeeb nazāre ne janam liya
Tez bādal pāṯāl ki tarah
Mere sar py mandlane lage
Siyāh mausam mē ek shikāri
Apnā kām namaṯāne ki kōshish mē tha
Keh
Rāt ke andherōṉ mē
Kali bili merā rāsṯa kāt gai
Main bhagne ki Koshish mai tha
Merī ek qimati shay
Rastē ki diwār phalangte hue
Zamīn par giri rahē gai
Mere kān ne fire ki āwāz suni
Toh meri ānḵẖ khul gei

-AZEEM ISLAM

Tuesday, April 30, 2024
Topic(s) of this poem: hindi,shadow,night,urdu
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success