Dahshatgard Poem by Bano Ali

Dahshatgard

Rating: 5.0


Yeh nanhe munney bachche jab karnein lagein sawal,
Yeh bachon ko keyun marte hayn aiy khuda bata de jawab,
Mera pota mujhse poochta hay keya hote hain dahshatgard,
Jo bat na khud main samajh pai wuh bachon ko kaise samjhaoon,
Kahan se aate hayn yeh yeh qatil aakhir inka maqsad keya hay,
Na jane inka mazhab keya hay keya jane inka maslak keya hay,
Inhein kahan se mil jata hay dahshat ka bhari saman,
Kahan se paise milte hayn tarbiat kahan per milti hay,
Dushman to phir dushman hay apnon mein kali bherein hayn,
Keyun hum in kali bheron ko ab tak dhoondh nahin pae,
Jab hum jaise mamooly log jante hayn pehchante hayn,
Gali gali mein dekhlo inki chadar mein lipti kameengahein,
Yeh hami hayn yeh nasir hayn dahshat to yehin per palti hay,
Aur hum kaise nadan hayn inko qurabani ki khalein dete hayn,
Sadqe bhi yehi le jate hayn lete hayn yehi hamari zakat,
Keya inke peeche ho jati hay hum sadalohon ki salat,
Bachchon ne to bas yeh poocha yeh bachon ko marte hayn,
Mere pas sawalon ka pehle hi se hay anbar!

Dahshatgard
Sunday, December 21, 2014
Topic(s) of this poem: terrorism
COMMENTS OF THE POEM
M Asim Nehal 28 October 2015

Bahut Khoob.....Kai adhure sawal hain jinka jawab nahi milta....10

0 0 Reply
Khalid Saifullah 05 January 2015

Amazin write and the picture that forces to think...................10

0 0 Reply
Yasmin Khan 24 December 2014

Aapki soch hr hasas dil ki soch hy aur ye sawal hr zehn mn kulbalaty hn, Hum to in kalibheron ko apne masoom bchon ka khoon pila rhe hn. Aapki nazm ne dil mn utr gayee.

0 0 Reply
Salini Nair 23 December 2014

why they kill the innocent children...its a question... the answer is time will pay for it....nice madam

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success