Aurat Poem by Bano Ali

Aurat

Rating: 4.8


Main keya thi main keya ho gai aaj shab,
Woh aurat kahan kho gai aaj shab.
Yeh ghadiayan theen jimmein mujhe jagna tha,
Main keyun bekhabar so gai aaj shab.
Kasafat woh din bhar ki ek qahr thi,
Jinhein chandni dho gai aaj shab.
Poda ug aaya, aur phool khilne lage,
Yeh barkha yeh keya bo gai aaj shab.
Bas ek lamhe mein sab tha badla hua,
Main kamzor phir ho gai aaj shab.

Tuesday, September 23, 2014
Topic(s) of this poem: woman
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
A woman always surrenders.
COMMENTS OF THE POEM
Free Bird 04 October 2014

Bohout khoob likha hae :)

4 0 Reply
Geetha Jayakumar 12 October 2014

Bahuth achha likhti hain aap! Bas ek lamhe mein sab tha badla hua, Main kamzor phir ho gai aaj shab. Ek lamha kaafi hain zindagi badalney kay liye...Loved reading it.

3 0 Reply
Aftab Alam Khursheed 17 October 2014

Kasafat woh din bhar ki ek qahr thi, Jinhein chandni dho gai aaj shab....Aap ke qalam ki taarif jitni ki jaaye wo kam hai, kaise karon tarif is baat ka hi gham hai..kuch aise bhi halaat hote hain..insaan khamosh rahte hain, rote hain masha Allah...ye aqle hunar Allah mujhe bhi ataa kare..du karen

3 0 Reply
Salini Nair 21 October 2014

Bas ek lamhe mein sab tha badla hua, Main kamzor phir ho gai aaj shab................beautiful write...enjoyed reading

3 0 Reply
Amitava Sur 10 November 2014

khub khub sundar barnana bon (means really nice expression, my sister) woh din bhar ki ek qahr thi, Jinhein chandni dho gai aaj shab. ......... bad naseeb woh hai jo bo kar vul gaya You may read my poem A woman

3 0 Reply
Dr Dillip K Swain 20 November 2018

Main keya thi main keya ho gai aaj shab, Woh aurat kahan kho gai aaj shab.........pragmatic expression! Loved reading this beautiful poem! (10)

0 0 Reply
Khalid Saifullah 02 January 2018

What a lovely poem..............................................................

0 0 Reply
Abduhoo Salamath 01 September 2016

Poda ug aaya, aur phool khilne lage, Yeh barkha yeh keya bo gai aaj shab. Bas ek lamhe mein sab tha badla hua, Main kamzor phir ho gai aaj shab. bahuth piyara andaaz...mazaa aagaya.

0 0 Reply
Souren Mondal 15 November 2015

Bohut hi khoobsuraat ghazal hai... Bohut bohut hi khoobsuraat, .. Sach me kabhi kabhi bas ek lamha hi lagta saab kuch ulat ke rakh dene ke liye... Isse humhare saat baat ne ke liye sukriya...

0 0 Reply
Rahman Henry 09 October 2015

Bas ek lamhe mein sab tha badla hua, Main kamzor phir ho gai aaj shab. Lyrical and lovely poem with a great sigh. I like this poem, this Gazal.

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success