Atal Ji Atal the, Atal hain or Atal hi rahenge
Unki yaadon ki rawaniyon se sab sajenge
San 98 ka Parmanu parikshan Atal ho gaya
America or Pakistan ka man patal kho gaya
San 99 ka Kargil, Atal ji ko or Atal kar gaya
Shaheedon ki shahadat mein akshpatal kar gaya
San 99 ka Vimaan apharan, Atal ko jhakjhor gaya
191 masoomon ke badle 3 paapiyon ko chhoda gaya
San 99 ki Sada-e-Sarhad, Atal ho gayi
Do deshon ki dhadkan ki dor jud gayi
San 2002 mein Hindi bhasha ko Atal kar diya
Bharatmata ki bindi ko suryaprakash sa Atal kar diya
San 15 mein Bharat ke woh Atal Bharat Ratna mahaan
Chamak nahi koi or hain feeke anya sabhi ratna asamaan
Ab maut se than gyi Atal vicharak, Atal ki
Jannayak, Ajaatshatru or bhrikutiBharat ki
Atal amar hain, Atal ajar hain, punya-aatma woh atal hain
Bachchon mein masti, Yuva mein jyot hain, or Vriddhon ka jazba hain
Amar surya ka amar parayan, keh raha ab Alvida hai
Hindustaan ka woh paras patthar, keh raha ab Alvida hai...
This poem has not been translated into any other language yet.
I would like to translate this poem