Ab Door Kahin Kho Jaoon Gi Poem by Bano Ali

Ab Door Kahin Kho Jaoon Gi

Rating: 4.7

Koi khawab na aysa dikhana tum,
koi saz na aysa bajana tum,
koi geet na aysa gana tum,
zara chupke chupke aana tum,
meri zulfein na bikhrana tum,
mera aanchal na maskana tum,
main dukhi hoon mujhko rone do,
main thaki hui hoon sone do,
kyun mujhper ghussa aaya tumhin,
kai bar to hay samjhaya tumhein,
jab meri ragein tan jati hayn,
jab meri nasein tharrati hayn,
mere sar mein khala si lagti hay,
yeh aurat jeeti marti hay,
beemar hoon main so jaoon gi,
ab door kahin kho jaoon gi!

Sunday, September 6, 2015
Topic(s) of this poem: departure
COMMENTS OF THE POEM
Akhtar Jawad 06 September 2015

Ek Mutasirkun nazm hay lekin kaun kafir aap ko jane de ga. Aap akele to na ja paengi.

2 0 Reply
Jazib Kamalvi 10 August 2017

A great ars poetica, Bano. You may like to read my ars poetica named as (Poetic Sense-1) Thanks

0 0 Reply
Saadat Tahir 13 March 2017

boht khoob... beautifully written with the quill dipped in dark leanings... the poet has captured the emotions very well indeed liked

1 0 Reply
Abduhoo Salamath 24 August 2016

bahuth khoob...dil ki udaasi ka izhar e bayan bakhoobhi nibhaya hai......

2 0 Reply
Rajnish Manga 02 October 2015

zindagi me kuchh pal aise bhee aate hain jab ummeed ka daaman hath se nikal jaata hai aur ham saare jhamele se door chale jaana chaahte hain. us waqt ham tanha rahna chahte hai. Quote: main dukhi hoon mujhko rone do /... mere sar mein khala si lagti hay / yeh aurat jeeti marti hay / beemar hoon main so jaoon gi / ab door kahin kho jaoon gi!

1 0 Reply
M Asim Nehal 30 September 2015

Nazm umda hai.Aur Insha-Allah tabiyat bhi achhi hogi, Allah aapko sehat se nawaze taake aap achchi achchi nazm aur ghazal hamare sath share kare..Aamin.

3 0 Reply
Saadat Tahir 13 March 2017

nice comment on a sad and heavy poem...

0 0
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success