A Hand-Mirror Poem By Walt Whitman In Hindi/Urdu Poem by Ravi Kopra

A Hand-Mirror Poem By Walt Whitman In Hindi/Urdu

Zara sheeshay main apna chehra to dekho
(kaun hai ye? kya tum ho?)
acHay khasay bahr se tumhare kapDay hain
aur andar raakh aur gandh bhara paDa hai
aankhen ab chamakti nahin
aawaaz sureeli nahin
chalana dawaN-dol hai

Moonh se sharab ki badboo aati hai
chehra nikamma sa hai
jism main aatshik-sozaaz hai
phephDay barbaad hain
pait main peeDa aur phoDay hain
joDoN main dard hai
aantrion main gandh bhara hai
khoon kala sa zeharila hai
awaaz buD-baDati hai
cHoona, sun-na haram hai
dimag kaam nahin karta
dil khoon nahin chalata
ling ki kashis barbaad hai

Marnay se pehle sheeshay main
ek baar apna chehra to dekho
aise hi tum paida huay the
aise hi ab tum mar jao gay

This is a translation of the poem A Hand-Mirror by Walt Whitman
Thursday, April 19, 2018
COMMENTS OF THE POEM
Ravi Kopra 19 April 2018

Nice to see you here, Soni sahib.

0 0 Reply
Ravinder Soni 19 April 2018

Nice translation, Ravi.

0 0 Reply
Close
Error Success