Nashe ne yaaron jakad liya hai
Swasthya hamara pakad liya hai,
Cigrette ka dhuaan hawa mein ghul raha hai
Vyakti is dhuein mein jhool gaya hai,
Sharaab ka nasha sab bhula raha hai
Maut ki taraf ab bula rah ahai,
Zehreeli dawaein ab yuva ki mitra hain
Maut ke tandav ka yeh jeevit chitra hai,
Tambakoo ne paan ki jagah le li hai
Ab aap hi batayein kya yeh cheezein bhali hain?
Ab toh jaago! himmat karo
Ik achche swasthya ki shwaas bharo
Nashe ko khud se door karo
Swasthya ko harit bharpoor karo...
This poem has not been translated into any other language yet.
I would like to translate this poem