Lamhon Ki Saugaath! Poem by Aarifa Almas

Lamhon Ki Saugaath!

Rating: 5.0

Har lamhe ki apni hi ik khoobsurat si adaa Hai
Woh lamha hi kya Jo kisi ke liye kabhi ruka Hai

Kuch meiN maza toh, Kuch meiN saza Hai..
Jo beeta woh yaad ik haseeN bangaya Hai..

Jo aayega kuch haseeN ehsaas laayega..
Ya ghamoN ki be Bunyad barsaat laayega..

LamhoN Mei chupe Har ehsaas ka intizaar Hai..
Inhi se toh aas Hai, ummeed bhi be shumar Hai..

Maano ki qatra ho Darya ka, Ya phir chingari ho aag ki,
Jo na ho toh kuch nahi, Aur ho to bahut kuch bhi..

Chalo in LamhoN MeiN hum sath chaleN,
Bas yunhi Har qasam nibhate raheN..
Jo aage badheN toh rishta yeh badhe,
Jo tham jaayeN toh kaarwaaN yeh rahe..

Lamhon  Ki Saugaath!
Monday, April 18, 2016
Topic(s) of this poem: memories
COMMENTS OF THE POEM
Abduhoo Salamath 18 April 2016

Maano ki qatra ho Darya ka, Ya phir chingari ho aag ki, Jo na ho toh kuch nahi, Aur ho to bahut kuch bhi.. waah, kia kahney hain....dil koo chooliya..

1 0 Reply
Abduhoo Salamath 18 April 2016

Maano ki qatra ho Darya ka, Ya phir chingari ho aag ki, Jo na ho toh kuch nahi, Aur ho to bahut kuch bhi.. waaaah, ....kia khoob kahney hai... kahney ka andaz gar sab ko ho is tarah gul e barg to kia gulzar bhi machal jaey...

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success