Kuch Baaten! Poem by Aarifa Almas

Kuch Baaten!

Rating: 5.0

Kuch BaateN...

KyuN na chahte huye bhi kisi ka dil todh dete haiN,
Hum aksar baateN karte karte kuch aisa bol dete haiN,

Maqsad nahi hota Dard, Dena na hi thees pohonchana,
HumeiN galath samajh kar logoN ka ghamgheen hojana,
KyuN kabhi kuch baateN aksar aisi hojati haiN,
Jinke samajhne MeiN aksar Galti hojati Hai.

Maafi Jo maango toh kehte haiN arey koyi baat nahi,

Lekin dil MeiN unke na jaane kitne waswase hote haiN..
Inab! Yeh DiloN ki Dunya bhi bahut Ajab Hoti hai..
Paraye Khoon ke rishte aur Dost Ajnabi hote haiN..

Kuch Baaten!
Thursday, April 28, 2016
Topic(s) of this poem: hurting
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
Sometimes we have no intention to hurt people around us or our loved ones.. But we often Hurt them unintentionally.. Sad yet true.. We just have to follow the proverb 'THINK TWICE BEFORE YOU SPEAK.'
COMMENTS OF THE POEM
Salman Sayeed 25 July 2016

Really superbb I like it For this I must have to rate 100++++++++++

0 0 Reply
Abduhoo Salamath 29 April 2016

KyuN na chahte huye bhi kisi ka dil todh dete haiN, Hum aksar baateN karte karte kuch aisa bol dete haiN, sahee farmaya aap ne, bus chaley 100 points bhi diya jasakta hai par hud 10 hi hai.. ek taraf zaban talvar bhi hai to dhaal bhi hai, to dusri taraf yahi zaban kisi ke dil sei harne ya jeetne me bhi madad karti hai... Bath karney ka saleeqa ho agar insaaN ko Dil to ki cheez hai pattha bhi pigal jate haiN inheen khayalon ko apne zaban se izhar kia hai....mabrook...

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success