Haqiqat Mein Poem by Aarifa Almas

Haqiqat Mein

Rating: 5.0

Haqiqat MeiN roothna manana toh hota hi hai,
khwaaboN meiN Jo rootho toh maza aaye..

Ek dusre se toh hum mil chuke kayi baar,
Dil bhi mil jaaye ek baar toh maza aaye..

Sau Sau waade, Sau Sau qasmeiN,
Har baar Jo nibhao toh maza aaye..

Wasl MeiN sath bahut de chuke,
Hijr MeiN Jo aansu bahao toh maza aaye...

Zindagi meiN gham haiN beshumar,
Phir bhi Jo muskurao toh maza aaye...

Is safar Mei chalte chalte ladh-khadhaane lage haiN Qadam,
HumeiN Jo koi sambhale toh maza aaye...

MuddateN guzar gayiN thokareN khaate huye,
Sahara Jo mil jaaye toh maza aaye..

Gunaah toh hazaaroN kar chuke,
Kabhi Jo malamath kar jao toh maza aaye...

Neki kar Darya meiN daal, Is par Har
Koyi Jo amal kar jaaye toh maza aaye

Shayar toh aap bhi bade khoob ho,
Thodi taareef hamari bhi ho jaaye toh maza aaye...

Saturday, March 12, 2016
Topic(s) of this poem: life
COMMENTS OF THE POEM
Unnikrishnan E S 31 July 2016

Hi Aarifa, ZA wonderful ghazal. Loved reading it. ... Dil bhi mil jaaye ik baar toh maza aaye.... Sau sau vaade, sau sau qasmain Har baar jo nibhaaye toh maza aaye Meri khwaish sirf yeh hein ki, yeh ghazal jo aap ki aawaz mein sunaaye toh maza aaye. Thank you.10++

1 0 Reply
Abduhoo Salamath 22 April 2016

Neki kar Darya meiN daal, Is par Har Koyi Jo amal kar jaaye toh maza aaye behad mufeed shr hai yah....

2 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success