Ajab Sa Dil(Urdu) Poem by soulful heart

Ajab Sa Dil(Urdu)

Rating: 5.0

Dil ke khwaishon ki inteha nahi
Par dil kya jaane- haqeeqat wa khwaish
Kabhi nadi ke kinaron ki tarah hote hai
To kabhi darya wa nadi ke paani ki tarah.

Dil jo bole, woh sunta kaun hai?
Ya to jo sunta hai, use dil pehchanta nahi
Ya dil jise pehchanta hai, wo sunta hi nahi.

Dil ko jo khush kare, wohi dard kyun deta hai?
Ya khudaya! jo dil ko chhalni karta hai
Ye usi ke paas kyun marham chahta hai?

Muskurate hoton se hasi chhinne wale
koi dushman-e-dil nai hota
Ye to sirf sabse dil-e-aziz hi hota hai.

Dil ko paagal mane ya shaatir
Kabhi haste haste, rula deta hai, kabhi
Khule aankhon tale chain chura leta hai.

Dil rooh-e-aashiyan to hai
Par yahi rooh-e-registan bhi
Kabhi sukoon ki jannat deta hai
To kabhi zozak ki tapti aag me jalaata hai.

Dushman bhi dil
Dost bhi dil
Zindagi bhi dil
Maut bhi dil.

Thursday, January 8, 2015
Topic(s) of this poem: heart
COMMENTS OF THE POEM
Jazib Kamalvi 12 July 2017

Kia khoob nazm likhi hai. Shukria

0 0 Reply
Abduhoo Salamath 24 August 2016

Dil ko paagal mane ya shaatir Kabhi haste haste, rula deta hai, kabhi Khule aankhon tale chain chura leta hai. kia khaab kahney hai..maza aagaya

0 0 Reply
M Asim Nehal 30 September 2015

Nice ghazal with many questions..... Ghade pe sawar hi aksar girte hain maidan e jang mein, Achche tairak hi doobte hain samander mein....Jo dil ke kareeb hota hai ussi per umeed hoti hai, Ghalib ka yeh kehna hai...... Apno ne hamein loota gairon mein kahan dam tha, Kashti bhi wahi doobi jahan pani kam tha....

0 0 Reply
Akhtar Jawad 10 January 2015

Ek achi aur khoobsoorat nazm.............................

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success