Zindagi Poem by Varsha M

Zindagi



Jivan ek khuli kitab hai
Jiske her panne par mera haq hai
Par uspar akshar to beete kal ka hai
Jisse maine jiya hai.

Har din is jindagi kar
Khoobsurat banti hai
Mere har faisale se
Jo mujhe mere har
Imtihaan pe choonna hota hai.

Imtihaan jindagi ke har moodh par
Rubaru karati hai mujhe har pahlu se
Taki nehatti kamzoor na soochu aapne ko
Par isse naye ko aazmane ka zarya maan loon.

Har din ek naye shuruwat hai
Beete kaal ki saugaat hai
Har din ek naye seekh hai
Zindagi ka yehi reet hai

Imtihaan aab pareshan nahi karti
Zamane ka naya aaiyna dekha jati
Aai zindagi tu berukh nahi
Jab tu mujhe zindagi ka matalab dekha jati
Aur maksad-e-khas se rubaru kara jati


Aai zindagi nakhush nahi mai tumse
Bas hairaan hoon
Tere aanokhe aandaaz se.

Zindagi
Saturday, August 8, 2020
Topic(s) of this poem: hope,life,test
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
A poem on life and how tests frame our life as a meaningful guide.
Photo by Ravi Roshan
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success