Phenomenal Woman, A Poem By Maya Angelou In Hindi/Urdu Translation Poem by Ravi Kopra

Phenomenal Woman, A Poem By Maya Angelou In Hindi/Urdu Translation



Ek Beshumar Aalishan Aurat


AcHi kHasi khoobsoorat aurtoN ko
meri khubsurti k raz main hairani hoti ha
Dekhne main main khoobsurat nahin hoon
kisi model ki tarah nahin lagti hoon
lakin jab unay batati hoon
to vo sochti hain main sub jhooth bolti hoon

Main kehti hoon ye meri
bahen hain jo kahan tak paunchti hain
meri kamar ki vistar hai
meri matwali chal hai
mere honton ki curl hai
jo mujhe beshumar alishan
aurat banati hain

Main jab kisi chup chap kamray main
jahan aadmi hi aadmi hote hain jati hoon
mujhe dekh kar sab khaDay ho jate hain
ya farsh par girne lag jate hain
aur mere ird grid bhoron ki tarah ikathe ho jate hain
jaise main madu makhiyon ka koi cHatta hoon

Tab main kehti hoon ye
meri ankhon ki tapash hai
mere chamakte daant hain
meri kamar ka hidola hai
mere paon ki muskrahat hai
jo mujhe beshumar alishan
aurat banati hain

- to be continued

This is a translation of the poem Phenomenal Woman by Maya Angelou
Wednesday, April 11, 2018
Topic(s) of this poem: beautiful,woman
COMMENTS OF THE POEM
Close
Error Success