If You Forget Me Poem by Ravi Kopra

If You Forget Me

Rating: 5.0

Agar tu muje bhool gayi
to main tum ko yaad dilaaooN ga
tumain patta hai vo kya hogi:

agar main heeray se chaand ko dekhooN ga
ya khiDki se apne jeewan ki sust padjhaD ki
laal daali dekhooN ga,
agar main aag k paas raakh ko cHoohooN ga,
ya sukDay lakDi k laThay ko cHooHoon ga,
to har cheez muje tere paas le aaey gi
mano k har cheez is jahaN main
khusboo, roshni, dhaatu
sub cHoti si kishtiyaaN hain
jo tumahray dweep ki tarf chalti hain
aur mera intzaar wahaaN karti hain.

haaN, agar ab
tum dheeray dheeray
muje pyaar karna bund kar do gi
to main bhi tuje dheeray dheeray
pyaar karna bund kar dooN ga.

ya agar ek dum
tu muje bhool jaogi
meri talaash na karogi
to main pehlay se hi
tumain bhoola hua hooN ga.

This is a translation of the poem If You Forget Me by Pablo Neruda
Friday, November 29, 2019
Topic(s) of this poem: love
COMMENTS OF THE POEM
Close
Error Success