Ghazal - Qyamat Ho Gai Hay Poem by Bano Ali

Ghazal - Qyamat Ho Gai Hay

Rating: 4.7


Muhabbat se muhabbat ho gai hay,
Mere zariye se chahat ho gai hay.
Bazahir meherban mujhper hua too,
Teri tujhper enayet ho gai hay.
Main ban kar rah gai hoon aaina ek,
Tujhe khud se muhabbat ho gai hay.
Dilaya maine ye ehsas hay bas,
Tujhe teri zaroorat ho gai hay.
Hamari to kisi ki dosti mein,
Hazaron se adawat ho gai hay.
Zameen ta aasman har simt ruswa,
Hamari bhi hikayet ho gai hay.
Meri ruswaiyoon ke sath teri,
Zamane bhar mein shohrat ho gai hay.
Lage ho dekhne aankhon mein soorat,
Tumhari bhi yeh jurat ho gai hay.
Nai tum seekhte ho roz shokhi,
Bhala kaisi yeh aadat ho gai hay.
Sanbhal kar hath rakho barg-o-gul per,
Junoon mein kaisi halat ho gai hay.
Muhabbat bekhabar thi aap se jo,
Jo dekha to qyamat ho gai hay.

Friday, November 28, 2014
Topic(s) of this poem: love
COMMENTS OF THE POEM
M Asim Nehal 28 October 2015

Yeh ek behtareen ghazal ho gayi hai.........Lajawaab, bemisaal Hamari to kisi ki dosti mein, Hazaron se adawat ho gai hay.............Wah wah

0 0 Reply
Amitava Sur 01 December 2014

waah' khub sundar, very nice, though everything I could not follow, still I enjoyed the theme in it. Muhabbat bekhabar thi aap se jo, Jo dekha to qyamat ho gai hay......... Beautiful

0 0 Reply
Akhtar Jawad 29 November 2014

a beautiful ghazal................10

1 0 Reply
Rajnish Manga 29 November 2014

This wonderful ghazal has all the necessary elements to make it what it is. Thanks for sharing it on PH, Bano Ali. These two lines are very appealing- Hamari to kisi ki dosti mein / Hazaron se adawat ho gai hay.

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success