Aiy Mere Khuda Aiy Mere Khuda Poem by Akhtar Jawad

Aiy Mere Khuda Aiy Mere Khuda

Rating: 5.0

Hum to kal bhi zindah they,
Hum to aaj bhi zindah hayn,
Tum to kal bhi murdah they,
Tum to aaj bhi murdah ho,
Yad karo wuh din jab,
Tum Ibne Mujlim kahlate they,
Tumne shaheed Ali ko kiya,
Tum khoon ke kitne peyase ho,
Tumne sijde mein sar kata,
Jise chooma rasool ke honton ne,
Phir tum chadh daure medina per,
Apni hi man aur behnon per,
Kutton ki tarha tum jhapte they,
Tum kaise mamoon they unke,
Tum kaise chacha they unke
Tum kaise bête they unke,
Tum kaise bhai they unke,
Tum bap bane un bachon ke,
Jinhein kokh mein jabr se dala geya,
Do ek nahin yeh hazaron theen,
Tum quale rasool bhi bhool gaye,
Zulm na karna medina per,
Is shahr mein mujhko panah mili,
Aur aaj khud apne bachon per,
Barood liye tum chadh daure,
Mayn apni beegi aankhon se,
Bas arsh ko takta rehta hoon,
Aur ro ro kar yeh kehta hoon,
Aiy mere khuda aiy mere khuda,
Aiy mere khuda aiy mere khuda!

Friday, December 19, 2014
Topic(s) of this poem: cry
COMMENTS OF THE POEM
Rajnish Manga 05 February 2017

The lessons of Islamic history have been forgotten by vested interests. Nicely articulated. Thanks. Yad karo wuh din jab / Tum Ibne Mujlim kahlate they, Tumne shaheed Ali ko kiya / Tum quale rasool bhi bhool gaye, Aur aaj khud apne bachon per / Barood liye tum chadh daure,

0 0 Reply
Khalida Bano Ali 20 December 2014

Very impressive and heart touching.....................10

1 0 Reply
Kumarmani Mahakul 20 December 2014

Hum to kal bhi zindah they, Hum to aaj bhi zindah hayn, our humko jinda hi rahna hi, keise? Very deep in expression. Well done. Many thanks.

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success