A Poison Tree, A Poem By William Blake Translated Into Hindustani Poem by Ravi Kopra

A Poison Tree, A Poem By William Blake Translated Into Hindustani



एक जहर पेड़

apne dost pe mujhe baDa gussa aa gaya
dil khol kar usko main ne sub bata diya
main sab gussa bhool gaya

apne dushman pe mujhe gussa a gaya
sub dil main rakha, kuch na bataya
har din mera gussa baDta gaya

din raat ro ro kar
isko apne hanju pilata raha
is pe muskrata raha
chalaki se dhoka deta raha

har din ye baDta raha
aur ek din ek pukka chamkata saib is pe lag paDa
dushman is ko pakte chamakte dekhta rehtatha
us ko pata tha ye saib mera tha

ek din raat ko wo mere bageechay main aaya
saib chori kar k kha gaya
main subah aate dekha
wo peD k neechay mara laita hua tha

This is a translation of the poem A Poison Tree by William Blake
Friday, March 23, 2018
Topic(s) of this poem: anger,friend
COMMENTS OF THE POEM
Close
Error Success